Main ghayal ghaati ke dil ke dhadkan gaane nikla hoon
Damroo wale shivshankar ki jo ghati kalyani thi
kashmir jo bhumandal ka swarg bataya jata tha
jiski mitti ko duniya mein argh chadaya jata tha
kashmir jo bharat mata ki aankhon ka tara tha
kashmir jo lal bahadur ko praano se pyaara tha
kashmir wo doob gaya hai andhi gehri khyaayi mein
phoolo ki ghaati roti hai marghat ki tanhaai mein
Ye rajnigangha mausam ki bela hai
gandho ke ghar bandooko ka mela hai
main bharat ki janta ka sambodhan hoon
aansoo ke vikaaron ka udbodhan hoon
main avdharmi parampara ka charan hoon
aazadi ki peeda ka uchhaaran hoon
Isiliye darbaaron ko darpan dikhlane nikla hoon
Main ghayal ghaati ke dil ke dhadkan gaane nikla hoon
Bas naaro mein gaate rahiyega kashmir humara hai
Chookar to dekho us choti ke neeche angaara hai
Dilli apna chehra dekhe dhool hatakar darpan ki
Narsingho ki tasveere bhi hai besharm samaparn ki
Apharano ki roz kahani hoti hai
Main aankhon ke pani ko lalkaar banane nikla hoon
Main ghayal ghaati ke dil ke dhadkan gaane nikla hoon
Kashmir hai jahan gard mein sooraj chandaa tare hain
Jharno ka pani raktim hai jheelo mein angaare hain
kashmir hai jahan fizaaye ghayal dikhti rahti hai
Garm hawaye jahan ghaati ka raashifal likhti rahti hai
Kashmir hai jahan desh ka maan lutaya jata hai
kashmir hai jahan darindo ki manmaani chalti hai
Ghar ghar mein AK56 ki ram kahani chalti hai
kashmir hai jahan humara rashtra gaan sharminda hai
bharat maa ko gali dekar bhi khalnayak zindaa hai
Kashmir hai jahan desh ka sheesh jhukaya jata hai
Masjid mein gaddaron ko khana bhijwaya jata hai
Loola langda pal wo singhaasan hai
loole langde sankalpo ke bhashan hain
phoolon ki ghaati laashon ki mandi hai
Anushashan ka poora daur shikhandi hai
Main is kodhi kaayarta ki laash uthane nikla hoon
Main ghayal ghaati ke dil ke dhadkan gaane nikla hoon
Humko do aansoo nahi aate hain anhoni ghatna par
Thodi si charcha hoti hai bahut badi durghatna par
Rajmahal ko sharm nahi hai ghayal hoti chaati par
bharat mata ka bhaag likha hai srinagar ki chaati par
Man karta hai phool chada doon loktantra ki arthi par
Bharat ke bete sharanarthi ho gaye apni dharti par
we ghaati se khel rahe hain gairon ke balbooto par
Jinki naak tiki rahti hai gair watan ke jooton par
Kashmir ko batwaare ka dhandha bana rahe hain we
Jugnu ko baishakhi dekar chandaa bana rahe hai we
Fir bhi khoon sane haathon ko nyota hai darbaaron ka
Jaise sooraj ki kirno par karza ho abhiyaaro ka
Kursi bhookhi hai noto ke thailon ki
Kulwanti Daadi ho gayi rakhailon ki
Aaj zaroorat hai sardaar patelon ki
Main ghaati ke aansoo ka santaap mitane nikla hoon
Main ghayal ghaati ke dil ke dhadkan gaane nikla hoon
Jab chaurahon par hatyaare mahima mandit hote hon
Bharat maa ki maryada ke manjar khandit hote hon
Jab khatnaaras ke naare hon gulmarg ki galiyon mein
Shimla samjhota jalta ho bandooko ki naliyon mein
To kewal aavashyakta hai himmat ki khuddari ki
Dilli kewal do din ki mohlat de de tayyari ki
Sena ko aadesh thama de ghaati gair nahi hogi
jahan TIRANGA nahi milega unki khair nahi hogi
Jinko bharat ki dharti na bhaati ho
Bharat ke jhando se badboo aati ho
Jin logo ne maa ka aanchal faada ho
Dhoodh bhare seene mein chaaku gaada ho
Main unko chauraahon pe phaansi chadwaane nikla hoon
Main ghayal ghaati ke dil ke dhadkan gaane nikla hoon
Amarnath ko gaali di hai bheekh mile hathiyaaron ne
Chaand sitare taak liye hain khoon lipi deewaron ne
Isiliye naakaam rahi hai koshish sabhi Ujaalo ki
kyonki ye sab kathputli hain nafrat karne waalon ki
Antim ek chunauti de seema paar padosi ko
Geedarh kayarta na samjhe singho ki khaamoshi ko
Humko apne khatte meethe bol badalna aata hai
Humko ab bhi duniya ka bhoogol badalna aata hai
Duniya ke sarpanch humare thaane daar nahi lagte
Bharat ki prabhsatta ke koi thekedaar nahi lagte
Kya darna duniya bhar ki baadhaaon se
Aankh milaao duniya ke dadaaon se
Bharat walo bharat ko balwaan karo
baandh nahi to atom bom nirmaan karo
Main bharat ko duniya ka sarmor banane nikla hu
Mein ghaayal ghati k dil dhadkan gaane nikla hu.
No comments:
Post a Comment